top of page
syed ajmer sharif dargah

Duties of Syed Ajmer Sharif

Dargah Syedna Khwaja Gharib Nawaz ( R.A) Ajmer Sharif  Syed Zaadgan ( Khadim Khwaja Sahab )  Humare Aabaayi Aur Bunyadi Haquk 

Aastana Syedna Hazrat Khwaja Garib Nawaz ( R.A ) ki Qaleed Bardaari ( Key Holders ) Aur Aastana e Aqdas ka jumla d'aro basth Khuddam Khwaja Sahab ka ek esa imtiyazi haq hai jo kisi aur ko haasil nahi.

Waqt e mukar'rar per Aastana e Aqdas ko kholna wa bandh karna  ek kadeem zamane pabandi ko barkarar rakhna.

Khidmat mazare aqdas Sarkar Gharib Nawaz (R.A) Yaani roazana mazaare aqdas ko bohot hi adab aur aqeedat ke sath achhi tarah apne hatho se aur chanur wa farashe se saaf karna , ghilaaf mubarak tabdeel karna, flower nikalna  aur new flower pesh karna neez mazare aqdas ke alawa gumbad mubarak ke andruni hissa mai apne haahto se safayi karna sirf khuddam e khwaja sahab ka hi haq hai.

 

zayireen ko mazare aqdas ki ziyarat karana aur unki janib se mazar sharif per nazro niyaz yaani chaddar flower sandal ittar kewda aur jo bhi aqeedat mandh laatey hai unsabko pesh karna , aur zayreen ke sarpar mazare aqdas ki chaddar sarper rakh ker dua karna deen wa dunya mai sarfrazi ke liye dua karna.

Bawaqt rukhsati aqeedat manda'an ko tabarukaat  dena , dastaare fazilat bandhna, mureed karna aur unhe silsila e aalia chishtiya ki muqqadas talimat se aagah karna.

Urs mubarak ke doraan bhi mazare aqdas ki khidmat karna aur ittar ark kewda  gulab se gusal dena.

zayireen ko mojudgi aur gair mojudgi mai unke nazro niyaz pesh karna aur hamesha unke liye dua karna.

Saal bhar  niyaz aur langar karna  saal ke 365 din syed ajmer khuddam hazrat  aastane aqdas  ki khidmat karte hai saal ke 365 din darwaza kholna bandh karna , saari rasumat ko 12 mahine anajm dena  ye imtiyaz sirf aur sirf Syed ajmer khuddam hazrat ka hai. 

Every winter, Mere Khwaja Foundation provides the needy and deprived with blankets, warm clothing and other necessary items of clothing in order to help them stay warm in some of the harshest winters in the area.

Duties of Ajmer Sharif Syeds 365 Days

bottom of page